Babydoll
12-01-2007, 05:52 PM
Waqt e rukhsat kyu na main unko
Ek aakhri salaam karti chalu
Kya pata ab phir baat ho na ho
Chand lamhe unke naam karti chalu
Kyu huwi unko mujhse ulfat nahi pata,lekin
Har ek silsila aaj tamam karti chalu
Sataya bohot hai unhe berukhi baato se
Qaraar aaye use aisa koi kaam karti chalu
Basa hai ab tak jo unke kaleje me
Ajal se apni khatm wo kohraam karti chalu
Dil na samje mera ye pyar ishq ki baatein
Ye haqiqat bhi bayaa sare aam karti chalu
Unko paana hai jise wo kamsin to hai ek murat
Jaate jaate use chalo nilaam karti chalu