PDA

View Full Version : roz ulfat.e janaN gul naye khilaatee hai


aarzoo
12-19-2008, 02:01 AM
roz ulfat.e janaN gul naye khilaatee hai
rotoN ko haNsati hai haNstoN ko rulati hai

ab tou Khuwaab meN bhi main tujh se mil nahiN saktee
neeNd shub ko aakhoN se door bhaag jaatee hai

jab nidhaal hoti hoon gham ke bojh se ai dost
justujoo-e gham meree peeTh thapthaptee hai

kisne kab basar ki hai karwaTen badal kar shub
silwaToN se bister ki duniya jaan jaatee hai

dil jhulasne lagta hai gham ki dopahar meN jab
teri yaad is dil per abr bunke chhatee hai

mere ghar bhi KhushiyoN ka aana jana hai lekin
har Khushee muSeebat ko sath leke aati haai

shaam.e gham ke maaroN per subH.e nau ka hai ehsaan
kum se kum woh dil meN ik aas to jagati hai

aankheN khol deti hain sub pe raaz.e gham warna
"Aarzoo" kahaN apna Haal.e dil sunaatee hai

p u r n i m a
01-02-2009, 06:06 PM
वाह "आरज़ू", क्या ऊमदा नज़म आप ने पेश की है,

खास कर के:-
[आंखें खोल देती हैं सब पे राज़-ए-ग़म वरना
"आरज़ू" कहां अपना हाल-ए-दिल सुनाती है]

धन्यवाद !
इस ही तरह लिखते रहेना.
आप कि ये नज़म मैं ने अपने "data base" में "save" कर ली है

risky
01-03-2009, 09:24 AM
superb dard ke shazadi superb mind blowing bahoot he umenda andaz mein kalam ko ru ba ru karwaya hai .

janumanu
01-08-2009, 06:02 AM
jab nidhaal hoti hoon gham ke bojh se ai dost
justujoo-e gham meree peeTh thapthaptee hai

Very impressive Aaapi ...............
bas katl hai

bahut dino baad padha and u know this time u r just amazing ...........

kisne kab basar ki hai karwaTen badal kar shub
silwaToN se bister ki duniya jaan jaatee hai

beautiful ..................



mere ghar bhi KhushiyoN ka aana jana hai lekin
har Khushee muSeebat ko sath leke aati haai

Its really nice to read u ... what i m reading . this time u r very clear with word and thought ......... and perfection is also there and here :)


aankheN khol deti hain sub pe raaz.e gham warna
"Aarzoo" kahaN apna Haal.e dil sunaatee hai

hmm ......... hum to aapki ankho se bhi mahroom hai
bas lafzo se door na karna yun hi
daman in phoolo se bharna

Princess
01-12-2009, 06:26 AM
A lovely creation Arzoo. Amazing write. Keep it up dear!!

CanadianGhalib
02-24-2009, 10:37 AM
shaam.e gham ke maaroN per subH.e nau ka hai ehsaan
kum se kum woh dil meN ik aas to jagati hai

aankheN khol deti hain sub pe raaz.e gham warna
"Aarzoo" kahaN apna Haal.e dil sunaatee hai


Wah wah wah........subhaan Allah kiya kehne hain

dheron daad haazir hain qabool farmaiye
allah kare zor-e-qalam aur

Khush rahiye mohtarma