PDA

View Full Version : Baba ki Beti


mistifer21
11-17-2007, 04:42 AM
Baba ki pyaari
Ek raj dulari
Nikli hai ghar se
Karke tyaari.
Jeetna hai yug ko,
Chadhani hai unchayi
Apni raah khud asaan
Tumhari beti ne banayi

Manga asmaan tumse
Nibhane ki ghari aaj aayi hai
asha thee tumko jo bete se
Beti ne poori
Kar dikhlayi hai

Fakr hoga janam
Dene ka guriya ko
aapka naam roshan kar jaoongi
baba aapki muskurahat
mere dill main basi hai
main aapka maan jaan dekar
bhi badaongi

Tumhari dee huee azadi
tumhare sabd mera sahara hai
main aaj bhi wo beta bane rahti hoon
jo baba ki ankho ka tara hai

tumne apna sara jeevan
Maa kee tarah
pal pal hamara Khayal
Karane mein Laga diya
wahe guru ka karm hai
jo hamko aap sa pita diya

Ab samjh kuch badi ho gayee hai
Farz bhee kuch bade hain
Mere sath main aapke mazboot irade
khade hain

Maa gayi jab duniya se
aapne wo farz bhi nibhaya.
Tham kar ungli meri
Chalna seekhaya

aaj bhi wo ungali
aksar tadap jati hai
Baba udas to ho hee jati hoon
paal bhar ko
jab bhi tumhari yaad aati hai

par baba aaj maine ye kasam khayee hai
aap ka sapna pura karne
ko main jee jaan lagaongi
baba tum hamesha khush rahan
main aapke liye
dill se muskuraongi

Nira

Princess
11-17-2007, 09:18 AM
Very touching and very sensational, Misty.
You have used a different approach and still captivated the reader(s).

A promise most daughters will go through anything to fullfill so as not to lose that special bond.
Very effective!!

risky
11-17-2007, 01:57 PM
kahenai ko jeetena bhi kahoo kam hoga bas ek sawad sachi baba ke beti kise kahetai hai woh tune kar dhikya naz tuj per hoga naz karenai walai ko tune har appena farz yoen nibhaya dhanya hai woh baap jis ne ek beti ke roop yaisa beta hai paya ..........mind blowing nira