mistifer21
11-17-2007, 11:10 AM
Bezuban
Shabdon ne diya naa saath rahe be-zubaaN banker
Dil ki hasroton ne pa liya mukaam be-zubaaN banker
Apne begane ka koyee nahee tha hameiN ilm yahaaN
Duniya kee ho gayee hai ab pahchaan be-zubaN bankar
Hazar zubanoN kee ladayaee rahee thee Umra bhar
Sabhi ban gaye haiN ab hamzubaN bezubaaN bankar
ChahatoN ko naa badha.o is tarah ai mere humnashieN
Kuch kahe bina ruksat ho jayega karhaaN be-zuban bankar
Dil ki dadkan ko dadakne do ai khuda kucthh is tarah .
Khud hi samajh jayeNge hum yahaaN be-zuban bankar
Dil kee baat kabhee hum keh hi na sake abhi tak
Pahuch gaye aaj is tarah shamshan bezuban bankar
Dil ki hasroton ne paya mukaam be-zubaan bankar,
Mere AhsaasoN ko mil gayee ab zubaN bezuban bankar
Nira