mistifer21
07-28-2008, 08:36 AM
jab kahi barood phat.ta hai, aor insaan apne hi samne apne tukde dekhta hai.
ek lasahon ka dhair lag jata ha. aor us dange mein ho rahi tabhayi ko, us dhahshiyat ke ahsaason ko aapke samne lane ki choti si koshish ki hai. koi galti ho gayi ho toh maafi chahoongi
Har or hai aag phaili
Dahshat ki
Kisne hai kheli holi
Aaj dharti maa ne
Bhi hai aankh bhigo li
Kya aatankwaadi janta hai
MaaN kii godh ka soonapan,
Kya usene apni hi
Bahen ka balatkar dekha hai.
Bhai ke toote ang
Lashon mein dhoonde hai.
Vo kya jane is
Karb ka ahsaas
Yeh jalan yeh ghootan
Usne toh ek
Kamre se baith kar
Ek switch hi toh
Dabaya hai-------
Lashon par jashn
Manaya hai-----
Zamir kab jagega.
In haiwaniyat ke
ThekedaaroN ka
Kya barood hi hal hai
Inko insaniyat
Seekhane ka.
Inke bhi ghar jalane ka
Dekho bahar nikal kar
Kahin inmein tumhari
Maan ya beti Apni
Izzat ki duhayi De rahi hai
Tumhare bhai ke tukde
Toh nahi Sameit rahi
Aao apne antak ke
jurm kaa aHsaas karo
kisi ka ghar jala hai
toh kisi ka sharir
tukadhon mein padha hai.
Koi ne ankh khoyi.
Kisi beti ki laash padi hai
Aao aa kar dekho
Tumne kaisi yeh khoon ki
Holi kheli hai
NIra
ek lasahon ka dhair lag jata ha. aor us dange mein ho rahi tabhayi ko, us dhahshiyat ke ahsaason ko aapke samne lane ki choti si koshish ki hai. koi galti ho gayi ho toh maafi chahoongi
Har or hai aag phaili
Dahshat ki
Kisne hai kheli holi
Aaj dharti maa ne
Bhi hai aankh bhigo li
Kya aatankwaadi janta hai
MaaN kii godh ka soonapan,
Kya usene apni hi
Bahen ka balatkar dekha hai.
Bhai ke toote ang
Lashon mein dhoonde hai.
Vo kya jane is
Karb ka ahsaas
Yeh jalan yeh ghootan
Usne toh ek
Kamre se baith kar
Ek switch hi toh
Dabaya hai-------
Lashon par jashn
Manaya hai-----
Zamir kab jagega.
In haiwaniyat ke
ThekedaaroN ka
Kya barood hi hal hai
Inko insaniyat
Seekhane ka.
Inke bhi ghar jalane ka
Dekho bahar nikal kar
Kahin inmein tumhari
Maan ya beti Apni
Izzat ki duhayi De rahi hai
Tumhare bhai ke tukde
Toh nahi Sameit rahi
Aao apne antak ke
jurm kaa aHsaas karo
kisi ka ghar jala hai
toh kisi ka sharir
tukadhon mein padha hai.
Koi ne ankh khoyi.
Kisi beti ki laash padi hai
Aao aa kar dekho
Tumne kaisi yeh khoon ki
Holi kheli hai
NIra